Hey dosto, aaj ki post me hum baat karne wale hai youtube brand account ke baare me ki youtube brand account kya hai or kaise kaam karta hai, or agar app bhi brand account bnana chahte hai to kya apko brand account bnana chaiye ya nahi.
Youtube Brand account Kya Hai :-
hum sabhi jab youtube pe naye hote hai to hum log youtube ka ek simple account bnate hai lekin hamara maksad youtube se paise kamane ka hota hai ya hum youtube ke jariye business karte hai. to aise me hum youtube se paise kamate hai, to youtube ka kahna hai ki agar app youtube per business karna ya paise kamana chahte ho to apko youtube ka brand account bnana chaiye jiska alag se ek business page bhi google plus pe hona chaiye taki future mein jab appyoutube se accha business ya paisa kama rahe ho to app youtube ke us channel ko mannege karne ke liye app employe rakh pao,
Youtube Brand Channel Or Youtube persnal Channel me kya farak hai :-
agar app youtube persnal channel or youtube brand channel ko campare karenge to ye dono he ek jaise hote hai magar enme thoda change hota hai, hame aisi kai setting hoti hai jo hum youtube ke persnal channel pe nahi kar paate hai or agar hamara brand channel hota hai to hame kuch extra setting mil jaati hai jiski wajaha se hum youtubr channel ko acche se manege kar sakte hai, or sath he hum usse kafi paisa bhi kama sakte hai.
Youtube Brand Channel Or Youtube persnal Channel me kya farak hai :-
agar app youtube persnal channel or youtube brand channel ko campare karenge to ye dono he ek jaise hote hai magar enme thoda change hota hai, hame aisi kai setting hoti hai jo hum youtube ke persnal channel pe nahi kar paate hai or agar hamara brand channel hota hai to hame kuch extra setting mil jaati hai jiski wajaha se hum youtubr channel ko acche se manege kar sakte hai, or sath he hum usse kafi paisa bhi kama sakte hai.
Youtube Brand Channel Bannane ka kya fayda hai :-
Agar hum Youtube brand channel bnate hai to hame kuch fayde hote hai or kuch nuksaan bhi hote hai to chaliye jaante hai sabse pahle ki youtube brand channel bnane se hame kya fayda milta hai.
- Agar hum Youtube brand channel bnate hai to hum us channel pe employee rakh sakte hai or unko unki kaam ke liye post bhi de sakte hai, matlab usse jitna kaam karana ho us hisab se usko Youtube Channel manege karne ka Liye post taki wo us channel pe baki cheezo ko na badal paaye jo usko kaam mila hai utna he kar sake.
- Brand Channel ki dusri khas baat hai esme app 1 se jada employe ya manneger ko add kar sakte hai.
- Brand Channel ko kisi bhi dusri mail pe transfer kiya jaa sakta hai eske liye bahut chota sa process karna hota hai.
- Brand channel pe app 1 se jada admin ya bole to malikh rakh sakte hai, agar app patnership me kaam kar rahe hai to ek brand channel ke 2 malik ya esse bhi jada malik bana sakte hai.
- Brand account pe app kabhi bhi eska owner (malikh) change kar sakte hai, agar app kisi wajaha se apna brand channel kisi or ko dena chahte hai to app aram se ese dusre kisi bhi naye owner ko transfer kar sakte hai.
- Brand Channel ka ek brand Google Plus bhi hota hai app chahe to wahan se bhi apne Youtube channel ko manege kar sakte hai.
Agar app persnal channel ko brand account bnate hai to esse hone wale nuksaan :-
- sabse pahle baat karte hai ki agar app persnal channel ko brand channel bnate hai to apko hamesa 2 channel icon dikhega ek apka persnal mail ka or dusra apka brand channel ka.
- agar app persnal youtube channel se brand channel pe jaate hai apko apka naya logo or naya banner wapas se lagana padega.
- appne jitne bhi comment ke reply kiye honge wo sab gayab ho jayenge kyuki ab app naye channel pe aa chuke hai.
- appka channel naya ho jayega to apka channel ka custom url bhi app 30 din baad he bna payenge, kyuki youtube ki policy ke hisab se app custom url tabhi bna sakte hai jab apka channel 30 din purana ho.
- eske alawa apke channel pe super chat paid contant agar on hai to wo bhi app 30 days ke baad he enable kar payenge.
- apne jis adsense se apna youtube channel link kiya tha brand channel pe jaane ke baad bhi apka usi adsense se apka channel connect rahega.
- ab apko ye samjh ke chalna hai ki apka channel naya hai. or apke about me bhi apko tab ka date show hoga jis din apne brand account bnaya hai.
- sari setting jo 30din baad enable hoti hai wo brand account pe aane ke baad disable ho jayegi or wapas se 30 din baad he enable hogi.
"bahut se logo ko ye lagta hai ki agar wo brand channel bna lete hai ya apne persnal channel ko brand channel pe move kar lete hai to eske baad agar kabhi bhi unka adsense disable hota hai to wo apne adsense ko change kar sakte hai to mai un logo ko bta deta deta hoon ki aisa posible nahi hai, agar apka brand channel ka adsense kabhi bhi disable hoga to app apna adsense nahi change kar payenge, adsense ke sare niyam persnal or brand channel dono ke liye same he hai"
Kya hame Brand Channel bnana chahiye :-
ab sayad app log ye soch rahe honge ki apko brand account bnana chaiye ya nahi, to app logo pe nirbhar karta hai ki agar apke pass persnal account hai or app usee brand pe move karna chahte hai, to agar apko uper btaye nuksaan se koi farak nahi padta hai to app brand channel pe kabhi bhi move kar sakte hai, or jo log naya youtube channel bnana chahte hai unke liye mai yahi bolunga ki app log brand account he bnaye kyuki apko start karna hai to app brand account se he strat kare taki apko aage koi problem na ho esse releted.
Brand Channel bnana ek accha option hai, to agar app chahe to brand account bna sakte hai, ye apki marji.
i hope ki apko ye post pasand aayi hogi, agar apke koi bhi sawal or sujhav hai to app hame comment box me jarur likhe ya fir app hame mail bhi kar sakte hai hamari mail id - techdkc6@gmail.com hai.
Brand Channel bnana ek accha option hai, to agar app chahe to brand account bna sakte hai, ye apki marji.
i hope ki apko ye post pasand aayi hogi, agar apke koi bhi sawal or sujhav hai to app hame comment box me jarur likhe ya fir app hame mail bhi kar sakte hai hamari mail id - techdkc6@gmail.com hai.
Thank You.
Yutube Brand account Kya hai Or esse kya Fayda ya nuksaan hai
Reviewed by techspotdc
on
September 27, 2017
Rating:
No comments: