Comments

Nokia 7 Launch, Bothie Camere or 6GB Ram ke sath, Janiye kya hai khash


Nokia 7 Launch, Bothie Camere ke sath 6 GB Ram.

Nokia ne pichle kuch samaye me wapsi karni ki acchi kosis ki hai or Nokia ab acche smart phone ke sath dubara market me ek jagaha banane ki kosis kar raha hai esliye ek ke baad ek naya smartphone nokia market me laa raha hai, Or es baar jis wajaha se nokia surkhiyo me hai wo hai Nokia ka naya Nokia 7 smart phone,

Nokia brand ke smartphone bnane wali HMD  Global ne chines market me nokia ka ek naya smartphone nokia 7 launch kar diya hai, Nokia ka ye samrt phone saste market or mid range smartphone ke beech apni jagaha banane ke liye launch kiya gaya hai, ek taraha se app bol sakte hai ki nokia 7 nokia 8 ka sasta avtar hai, nokia 7 kuch naye or khass feature ke sath aayega or china ye lagbha 2499 yuaan(25000₹ bharat rupey me) me milega, or agar eski sell ki baat ki jaye to ye 24 october se china me milna start ho jayega.

Nokia 7 me kya hoga khas Feature :-

Nokia 7 me apko 5.2 inch ki full HD display (1920 x 1080 )dekhne ko milega, eske sath he esme apko gorilla glass 3 ka protaction hoga jo phone ko scratch lagne or tutne se bachayega, Nokia 7 me apko Octa core snapdragon 630 ka processor milega jo phone ko kafi fast bnata hai. eske alawa esme apko internal 64 gb ka storege milega jise app badha ke 128 gb tak kar sakte hai. Nokia 7 ka 2 bvariyant apko dekhne ko milega jisme ek 4gb ram or dusra 6gb ram ke sath aayega, Android verson ki baat kare to ye Android ke 7.1.1 pe based hoga or apko samaye ke sath naye update bhi deta rahega, 2sim ke sath app es phone ko use kar paayenge or agar sim ki baat kare to Nokia 7 me apko hybride sim ka use karna padega. Eska matlab hai ki user ko 2 sim or 1 sd card ka option milega.

"Nokia 7 me Bothie Camera support hai jiski wajaha se app ek he samaye me apne front camera or back camera se ek sath photo le sakte hai ya fir ek he samaye me front or back camera se app video capture kar sakte hai Bothie support ke karan Nokia 7 ka camera Nokia 8 se jada behtar hai or esi wajaha se Nokia 7 ka price thoda high hai, Nokia 7 me Bothie Camere support bahut he khash feature hai jo Nokia 7 ko dusre sabhi phone se alag banata hai"

Camere ki baat kare to nokia 7 me apko back me 16 Mega pixel or front me 5 mega pixel ka camera milega, magar eska camera nokia 8 se kafi alag hai. es smart phone me apko dual side feature (Bothie) milta hai app eski madad se 1 he time me front or back camere se ek sath picture video capture kar paayenge, Battry ki baat kar le to Nokia 7 me apko 3000 mah ki battry mil jaati hai jo apko accha backup degi. agar app ek normal user hai to apko din me ek baar phone charge karna padega, or agar app havy use karte hai to din me 2 baar ese charge karnapad sakta hai.

Agar Nokia 7 ke dusre feature ke baare me baat kare to esme apko Bluetooth 5.0, wifi 802.11 A/B/G/N/AC or Usb Type ka support mil jaata hai, Sensor ki baat kare to esme apko Light sensor, proximity sensor, Accelero meter, electronic campas, Fingerprint sensor, Gyeroscope sensor, jaise sensor apko mil jayenge, eske alawa esme apko NFC  ka support milta hai. filhal chini market me ye black or white colour me mil paayega.

Nokia 7 key spec :-

Display

5.20-inch

Processor

1.8GHz octa-core

Front Camera

5-megapixel

Resolution

1080x1920 pixels

RAM

4GB

OS

Android 7.1.1

Storage

64GB

Rear Camera

16-megapixel

Battery Capacity

3000mAh

Filhal HMD GLOBAL ki taraf se aisi koi jaankari nahi hai ki ese india me kab launch kiya jayega, firbhi agar nokia 7 ko india me launch kiya jaata hai to dekhna ye hoga ki eska price kitna hoga, agar hum eske price ki baat kare to ye indian market k hisab se kafi jaada hai, or jo bhi feature hame nokia 7 me mil rahe hai wo market me dusre saste phone me bhi mil sakte hai, or wahi india me mi, one plus, jaise brand ke phone ke samne nokia 7 kitna accha sabit hota hai ye to filhal nokia 7 ke india launch ke baad he pata chal paayega. to filhal abhi agar apko nokia 7 lena hai to app ese china se manga sakte hai wo 24 october ke baad kyuki nokia 7 ke sell 24 october se chainess market me start ho rahi hai.
Nokia 7 Launch, Bothie Camere or 6GB Ram ke sath, Janiye kya hai khash Nokia 7 Launch, Bothie Camere or 6GB Ram ke sath, Janiye kya hai khash Reviewed by techspotdc on October 21, 2017 Rating: 5

1 comment:

Powered by Blogger.