To Hey Guys, Sayad appne bhi kabhi Google AMP ke baare me suna hoga aur apne bahut saare website ya blog pe bhi Google Amp ka use hote huye dekha hoga, Jo bhi website ya blog Google Amp ka use karte hai unki website blog bahut jaldi load ho jaati hai, Google Amp ek Google ka ek project hai jise hum log AMP Theme ke roop me blog or website me dekhte hai. aaj lagbhag har nayi website Amp Theme ka use karti hai.
To Guys es Article me hum Log janenge ki Amp kya hota hai or ye kaise kaam karta hai or eske alawa hum log ese kahan kahan use kar sakte hai.
⚡️AMP KYA HOTA HAI :-
To Guys mai apko bata deta hun ki AMP ka matlab hota hai "Accelerated Mobile Page" jisme apki website ko bahut light bnadiya jaata hai, jisse apki website khulne me bahut kam samaye leti hai sirf ek click ke baad turant response deti hai. Es taraha se apki jo website hoti hai wo slow net hone pe bhi bahut acche taraha se kaam karti hai. To Google Ne apna Amp project 7 Oct 2015 ko start kar diya tha or ese 2017 me sabhi publisher ke liye open kar diya gaya tha.
AMP Google ka ek Open Source project hai jise publisher, Blogger, webdite owner k liye bnaya gaya hai. AMP ki help se har koi Website Owner apni Site me Mobile-Optimized contents create kar sakta hai jo ki sabhi Devices phone, Tablet me fast Load ho jata hai.
Google ka AMP project ko start karne ka main Maksad ye tha ki vo apne users ko ek Best Mobile experience de sake and kisi bhi Type ki Website har kisi Mobile Device me bahut ki kam Time me load ho jaye taaki Users ko Site open hone ke liye wait na krna pade.
kyuki internet ka use sabse jada mobile pe badhne laga tha to es wajaha se google ne apne business ko badhane ke liye bhi Amp ko bnaya.
⚡️Amp ko apni Blog website pe kaise use karte hai :-
Agar app Amp ko apni website pe use karna chahte hai to ye baat jaan lijiye ki AMP ka use app theme k roop me kar paayenge to chaliye jaante hai kaise app apne website or blogger pe Amp theme use kar sakte hai.
Wordpress Website pe ⚡️Amp kaise use kare.
- Sabse phle Apko apne wordpress admin panel me jana hoga.
- Agar aapki theme me phle se AMP ka option hai toh usko enable Karle.
- Aur agar theme me AMP ka koi option nhi hai toh aapko add plugin par click kar ke apko plugin add karna hoga.
- Search me jaye aur AMP search kare.
- Ab aapko phla hi plugin AMP for WP dikhayi dega usko install karle.
- install hone ke baad plugin ko activate kar de.
Ab apne website ko check karne k liye apne usr ke aage Amp likh k ok kar.
Jaise maan le mera website Url www.techspot99.com to mai agar www.techspot99.com/AMP likh kar ok karunga to meri website mobile pe mobile view me Amp theme k sath khulegi or desktop pe bhi app dekh paayenge ki ye kuch alag theme me open ho rahi hai.
eske alawa jab app google pe apni website ko search karenge to payenge ki apki website k aage ⚡️Amp ka sine apko dekhne ko mil jayega.
Blogger Me ⚡️AMP Kaise Use Kare?
To App jo bhi Blogger ko use karte honge wo log jaante hai ki blogger ke liye bahut kam plugin aate hai. or Amp jaise plugin to apko blogger ke liye nahi aate hai magar fir bhi app blogger pe Amp ko use kar k apni website ko fast bana sakte hai. Blogger pe app Amp ko activate karne k liye apko Amp wali theme use karna padega. jo apko google pe asani se mil jayegi jaha se app use le kar apne blogger me use kar sakte hai.. blogger me sirf apko theme badalna hota hai eske baad apka blogger website Amp me khud change ho jaata hai.
AMP KA NUKSAAN :-
To yahan hum agar nuksaan ki baat kare to Amp ka nuksaan bahut kam hai. Ye abhi naya project hai jo kabhi kabhi sahi se kaam nahi karta hai lekin dheere dheere ese improve kiya jaa raha hai. eske alawa Amp bahut perfect hai Blogger or Website ke liye.
Aasa karte hai apko ye Article pasand aaya hoga dhanyabaad.
Google ⚡️AMP Kya Hai Aur esko Blog website pe kaise Use karte hai
Reviewed by techspotdc
on
October 11, 2017
Rating:
apka theme amp hai ?
ReplyDeleteHi
ReplyDeleteSupport me quick91.com
ReplyDelete