Chines Smartphone Company Xiaomi ne Bharat me apne behad patle bezal wale Mi mix 2 ko launch kar diya hai, es phone ki sabse khas baat ye hai ki ye 6 inch display wala behad patla phone hai or eska Ratio 18:9 ka hai. Xiaomi Mix 2 me Qualcamm Snapdragon 835 ka processor Use kiya gaya hai. Mi mix 2 ki phone ki body seramic ki hai. Xiaomi dwara es saal bhartiye market me launch kiya gaya ye pahla flagship smart phone hai.
Xiaomi Mi MIX 2 ki Price :-
Xiaomi ka ye smartphone 35999 rupay me indian me becha jayega. es price point me Honor 8 Pro or One plus 5 pahle se market me hai jinese xiaomi ke mi mix 2 ki sidhi takkar rahegi. Xiaomi ne india me Mi mix 2 ke 6gb Ram or 128Gb storege wale variyant ko launch kiya hai. filhal eske alawa kisi or variyant ko launch ki jaankari abhi xiaomi ne nahi di hai. magar anumaan lagaya jaa sakta hai ki eske or bhi variyant market me aa sakte hai. mi mix 2 apko flipkart or mi ki official website pe milega jahan se app enhe Online kharid paayenge.Xiaomi Mi MIX 2 Specification
Xiaomi ke Mi Mix2 ke specification ki baat kare to esme apko :-- 6 inch ki QHD (1440×2880) Ki display milti hai jo 18:9 ke Ratio ke sath aati hai.
- PPI (Pixel Per Inch) 403
- phone me Qualcomm ka Snapdragon 835 diya gaya hai jo phone ko kafi fast banata hai.
- 6 GB Ram ke sath eska pahla variyant india me launch ho raha hai.
- Camere ki baat kare to esme sony ka 12 megapixel camere k sath IMX 386 Sansor diya gaya hai jo apko Stable picture lene me kafi accha response dega.
- Led Flash supported
- Front me apko 5 Megapixel ka camera diya jaata hai jo face dedection feature ke sath aata hai.
- es phone me apko 128 GB ki internal storege di jaati hai or alag se storege badhane ka koi option apko nahi milta hai.
- Mi mix 2 4G volte supported Smartphone hai
- wifi 802.11 support bhi hai
- esme A GPS ka use kiya gaya hai.
- blutoogh ki baat kare to esme bluetooth ka latest verson use kiya gaya hai jo Bluetooth v5.0 hai.
- Usb Type C ka support esme apko milta hai
- Mi mix 2 lagbhag 185 grm ka phone hai
- Dimenssions 151.80×75.50×7.70
- esme battry apko 3400 mah ki milti hai.
- esme apko compass sebsor, proximity sensor, Accelerometer, Ambient light sensor, Gyroscope, Barimeter sensor milenge.
- dual SIM (GSM and GSM) or dono he nano sim lagane padenge apko
- Mi mix to Android smartphone hoga jo miui 9 based hoga. or abhi filhal apko esme Android N dekhne ko mil sakta hai magar app jaldi he ese Android O pe update kar paayenge.
- Battry Non Removle hogi
- Black Colour
phone me kami ki baat ki jaaye to front camera 5 mega megapixel ka kam lagta hai or eske dusre variyant ko launch nahi kiya gaya hai. ye apne price point me ek accha phone hai.
To guys i hope ki apko ye article pasand aaya hoga. kisi bhi sawal or sujhav ke liye app hame comment box me jarur likhe.
Xiaomi Mi MIX 2 Indian Mein Launch, Price, feature, jaane kya hai khash
Reviewed by techspotdc
on
October 11, 2017
Rating:
No comments: