YouTube Channel ko 1st search mein kaise laate hai, Youtube SEO 100℅ Working :-
hello dosto, agar app ek youtuber hai to app ye jaante honge ki hamara youtube channel search karne pe 1st rank pe aana kitna jaruri hai, agar hamara youtube channel 1st search mein nahi aata hai to usee logo ko dhundhne mein kafi pareshani hoti hai.. or aise mein hamare youtube channnel pe viewrs kam aa paate hai... jiske karan log hamare channel tak pahuch he nahi paate... waise bhi agar apke pass youtube channel hai to app jante honge ki kai taraha se hame channel k 1st rank aane pe kafi fayda milta hai...
app logo ko pata hoga ki ek he naam se aaj kal kai channel hote hai. aise mein agar app apne channel pe bahut accha kaam bhi kar rahe hai or apka channel search mein nahi hai to apke jaise naam k channel us baat ka fayda utha lete hai..
To chaliye jaante hai ki kaise app log apne yougube channel ko 1st search mein laa sakte hai wo bhi kuch step ko follow kar k..
Tips for Youtube channel Rank :-
1- Uniqe name
to guys sabse pahle apko aisa naam rakhna chaiye jis naam se koi bada channel naa ho or app jo bhi naam rakh rahe ho usse releted naam na ho.. or agar maan lijiye apke us naam se channel hai to app check kar lijiye ki kam se kam.channel ho..
2- 10 video upload on your channel :-
ab dusri tips ye hai ki apko jo bhinchannel ho uspe kuch video jarur ho kam se kam 10 hogi to bahut accha rahega agar jaada hogi to bahut accha hai.
3- Youtube channel name change problem :-
agar aapne apne Youtube channel ka naam change kiya hai to es post ko aage padhiye or thoda sabar rakhiye... kyuki ye post apke bhi utni kaam ki hai jitni kisi naye channel ki.
Youtube channel ko search mein laane k step :-
To guys baat karte hai ki kaise or apko kya karna hai jiski wajaha se apka youtube channel search mein aayega..
Step 1 :- 1st step mein apke apka channel ka naam jo bhi rakhna hai rakh le jo ki auro se alag ho ya us naam se channel kafi kam ho taki apka channel jaldi search mein aa sake, or haa kisi bade youtub channel ka naam na rakhe kabhi bhi nahi to apka channel search me aane k baad bhi koi fayda nahi rahega.
Step 2 :- 2nd jab bhi app koi video upload karte hai to jo apki video ka tittle ho to uske baad apne channel ka naam jarur likhe jab tak search mein naa aane lage tab tak apko ye process karte rahna hai example k liye maan lijiye ki appne koi video bnayi whatsapp k uper...
exmp:- How to Creat whatsapp account, ab ye apka jo tittle hai video ka uske baad apko apna channel ka naam dena hai last mein..
how to creat whatsapp account by techno line
to es taraha se apko apke channel ka naam likhna apke video tittle k baad. Or ye kaam apko apni nayi or purani dono video pe karna hai.
Step 3 :- ab jab bhi koi app video upload karte hai to uska description bhi likhte honge us video k baare mein or kuch important information bhi app description mein likhte honge..
To ab apko karna kya hai ki appko us description mein apne channrl ka naam dena hai last mein, jaise app by apne channel ka naam de sakte hai ya fir about us likh k de sakte haibdescription mein ye karna bahut jaruri hai or apko ye sari video pe karna jo apne upload pahle ki hai unpe bhi...
Exmp :- jaise maan lijiye mere youtube channel ka naam hai technoline to mai likhunga
About us-
Channel name- TECHNO LINE
aisa kuch appko bhi likhna hoga jaisse apke channel ka naam description mein aa jaaye... or app jo bhi video daale uske description me naam jarur de or purani saari video pe bhi ye kaam kar le.
Step 4 :- Ab jab app video upload karenge to apko us video k liye tag keyword daalne hote hai. to ab apko karna ye hai ki un tag k beech mein apne channel ka naam ek baar jarur de apni naayi or purani dono video mein or ye kaam apko hamesha karte rahna hai... ese apko life time kabhi bhi band nahi karna hai... taki apka channel hamesha seach mein bana rahe or koi bhi apke channel ko 1st rank se hata na paaye.
Step 5 :- Es steap me apko apke channel ka keyword daalna hota hai...
Channel keywords daalne k liye apko apne youtube channel ko computer ya mobile pe kholna hoga agar app mobile pe kholte hai to apko apke channel ko chrome pe desktop mode pe kholna hai taki wo computer jaisa dikhe uske baad apko.
My channel mein jaana hai wahan video maneger mein jaana hai fir channel mein or fir Advance mein jaana hoga wahan apko ye channel keyword dikhrga..
My channel> Video manneger > Channel >Advance > Channel keyword
ab apko apne channel keyword mein apko apke channel ka naam daal lena hai or kuch channel se releted keyword bhi daal sakte hai...
jab app ye puri process kar lete hai tab apka channel 14 din k ander search mein aa jayega minimum 3 days lagte hai agar us naam se kai channel hai to apka channel 3 din se jada le leta hai but jitna bhi ho 14 din se jada nahi lega...
Agar fir bhi apko na samjh aaya ho to app hamari youtube video dekh sakte hai link neeche hai..
ye video app dekh sakte hai. or acche se samjhne k liye...
App chahe to hamara youtube channel bhi visit kar sakte hai hamare channel ki link hai. CLICK HERE TO GO OUR YOUTUBE CHANNEL
agar apke koi bhi sawal or sujhav ho to hame jarur likhe...
Email- techdkc6@gmail.com
Aasha k
Thank you,
YouTube Channel Ko 1st search mein kaise laaye. YouTube SEO
Reviewed by techspotdc
on
August 18, 2017
Rating:
No comments: